Friday, 12 September 2014




Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke Soo Jati Hai
Tab Kaheen Ja Kar 'Raza' Thora Sukoon Pati Hai Maa

Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa

Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Oadthi hai hasrathoan ka khudtho bosida kafan
chahatoan ka payrahan bachoan ko pehnathi hai maa

Ek ek hasrath ko apne azm wo istekhal se
Anso'oan se ghusl de ker khud hi dhafna thi hai maa

Bhuka rehne hi nahi dethi yateemon ko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa

Haddiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Ke Chain Ko
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa

Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa

Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa

Bhook se majboor ho kar mahmaan kai samne
mangtai bachche jab roti to sharmati hai Maa

Zindigi ki siskiyaan sun kar hoos ai shahar se
Bhookai bachchoon ki giza apna kafan lati hai Maa

Muflisi bache ki zid par jab uthaleti hai haath
Jaisai ho mujrim koi is tarha sharmati hai maa

Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa

samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa

Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Se
Apnai Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa

De ek bimaar bachche ko duain aur dwa
paainti hi rakh kai sar kadmoon pa so jati hai Maa

Jane Anjane me hojaye jo bachoan se khusoor
Ek anjaani sazaa ke dar se tharrathi hai maa

Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa

Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz
Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa

Apne bachoan ki bahaar-e-zindagi ke waste
Ansooan ke phool har mausam me barsati hai maa

Zindigi bhar beenti hai khaar rahe zeest se
jate jate naimate firdos de jati hai Maa

Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat
Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa

Ek ek hamle se bachche ko bahanai kai liya
Dhall banti hai khabhi talwar baan jati hai Maa

Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Pehle dil ko saaf karkai khoob apnai khoon se
dharkanoo pa kalma-e-tawheed likh jati hai Maa

Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa

Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye
Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa

Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai "Baita alwida"
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa

Ris ne lagta hai poranai zakhm se taza lahoo
Hasratoon ki bolti tasveer ban jati hai Maa

Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me
Aansuwoon Ku Poanch Ne Khwaboon Main Aajati Hai Maa

Lout kai wapas safar se jab bhi ghar aate hain hum
Daal kar bahain gale main sar ko sehlati hai Maa

Aisa lagta hai kai jaise aagai firdoos main
bhinch kar bahoon main jab seenai se liptati hai Maa

Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Marte Dam Bacha Na aapaya agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa

Baad Mar Janai Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye
Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Hum balaoon main kahin ghirtai hain to be iktiyaar
khair ho bachche ki kah kai dar pa aa jati hai Maa

Door ho jata hai jab aankhoon se godi ka pala
Dil ko hathoon se pakar kai ghar ko aa jati hai Maa

Doosrai hi din se rahti hai khatoon ki muntazir
Dar pa aahat ho hwa se bhi to aa jati hai Maa

Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa

Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan
Biyah Kar Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa

Cheen lati hai wohi aksar sukoon-e-zindagi
Pyar se dhulhan bana kar jis ko ghar lati hai maa

Phair laitai hai nazar jis waqt baita aur bahu
ajnabi apne hi ghar hai baan jati hai Maa

Hamne ye bhi tho nahi soachan alaag hone ke baad
Jab diya hi khuch nahi ham ne tho kya khati hai maa

Zabt tho dakho ke itni berukhi ke baujood
Bad dua deti hai hargis aur na pashtati hai maa

Allah Allah bhool kar ek sitam ko raat din
pooti poote se shakista dil ko behlati hai Maa

Baita kitna hi bora ho par parosan kai hozoor
Rook kar jazbaat ko baitai kai gun gati hai Maa

Shadiyaan kar kar kai bachche ja basai pardes mai
dil khatoon se aur tasveeron se bahlati hai Maa

Apne sinai par rakhai hai kainatai zindigi
Ye zamin is wastai ae dost kahlati hai Maa

Saal bhar me ya khabhi hafte me jumeraat ko
Zindagi bhar ka sila ek Fateha pati hai maa

Gumraahi ki gard jam jai na merai chand par
Barishe imaan main yoon roz nehlati hai Maa

Apne pehlu me lita kar roz thouthe ki tarha
Eik barah panch chouda ham ko ratwati hai maa

Umr bhar ghafil na hona matame Shabbir se
Raat din apne amal se hamko samjati hai maa

Martaba maa ka ho zahir is liye firdos se
apne bachchon kai liya poshaaq mangwati hai Maa

Yaad aata hai shab-e-ashoor ka kadyal jawan
Jab khabi uljhi huyi zulfon ko suljhati hai maa

se pehle jaan dena Fatima ke lal par
Raat bhar Aun-o-Mohd ko ye samjhati hai maa

Jab talak ye haath hai humsheer bai parda na hoo
Ek bahadur bawafa baitai se farmati hai Maa

Nawjawan baita agar dam toor de agoosh main
Zindigi bhar sar ko diwaroon se takrati hai Maa

Fatima ke lal par qurban kar ne ke liye
Baandh kar sehra jawan bete ko leati hai maa

khoon mai dobai hue aatai hai jab sahrai kai phool
Ek ek tookre ko apne dil se liptati hai Maa

Laashe Qasim par kaha zinda rahi to awoongi
Ab to sooai Shaam dolhan ko liya jati hai Maa

Laash par baite ki parhti hai jawai marsiya
shukr ka sajda is alam main baja lati hai Maa

Allah Allah ithehade sabre Laila-o- Hussain
Baap ne khenchi sinah, sine ko sehlati hai maa

Ye bata sakti hai hum ko bus Rabab-e-Khastatan
Kis tarha bin doodh ke bache ko behlati hai maa
                       
                               RAZA SIRSVI…..

" Salam Ya Hussain (A.S)"

"Asalamoalaka ya Abaabdella -hel -Imam e Hussain a.s."