Sunday, 19 October 2014

Naamaz



 Namaz nafs ki izzat hai auliya ki qasam

Namaz din ki hurmat hai ausiya ki qasam

Namaz husne sharaafat hai ambiya ki qasam

Namaz qissa e wahdat hai kibriya ki qasam

Namaz khaire amal ki taraf bulaati hai

Namaz ishqe khuda ka hunar sikhaati hai

Namaz abd ko mabud se milaati hai

Namaz guftugu allah se karaati hai

yehi Namaz gunaahon se bhi bachaati hai

Namaz qabr talak saath saath jaati hai

Namaz wo hai jo faaqon me mustafa ne parhi

jaga ke apne hi qaatil ko murtaza ne parhi

jo chakiyon ki mushaqat me fatema ne parhi

gale laga ke zahar ko jo mujtaba ne parhi

jo chaahta hai ke azmat Namaz ki dekhe

mere hussain ka wo sajda akhri dekhe


parhi Namaz jo aabid ne pushte naaqa par

adaa kiya jise baaqir ne sakhtiyaan seh kar

bayaan kiya jise jaafar ne bar sare mimbar

ruku me barson rahe jiske kaazime muztar

raza ne lab pe sari ar reza sajaa ke parhi

taqi ne taqwa e butaalebi bataa ke parhi

naqi ne naqwate baatil mita mita ke parhi

aur askari ne khabar aakhri suna ke parhi

pase Namaz musalle pe ro raha koyi

imaame asr hai aur hujjate khuda hai wohi....

" Salam Ya Hussain (A.S)"

"Asalamoalaka ya Abaabdella -hel -Imam e Hussain a.s."